Monday, February 22, 2016

peshaab ki bimari (mutr vikar) aour uske ilaj



peshab ki bimar aour ilaj kaise karen

peshab ki bimaari kya hoti hai --?


 isko janna hamare liye bahut jaroori hai aour dhyan dene wali baat hai kyon ki ye rog aage chal ke bhayankr roop dharan kar lete hain aour hamri sex life ko tabah  kar dete hain.   to aayiye ham jaane ki is ka kya parichay hai.

mutr vikar ke antargat kayi rog aate hain, jinme main kuchh pramukh aap ko bata raha hun.

*# peshaab karne me jalan ka hona ,

*# peshaab ka ruk jaana ,

*# peshaab ruk-ruk kar aana ,

*# mutr krichchh aour bahu mutra

*# peshab me peeda ka hona,

ye sbhi rog bade kasht dayi hote hain  agar in jald hi ilaaz nahi kiya to  ghaatak parinam bhugatna pad sakta hai.

yebhi jane- 



is rog ki pahchaan kya hai--?


mutra ki kami ya nikalne se mutraashay fool jaata hai .
rogi ko badi bechaini hoti hai.
mutr bade kasht ke sath boond - boond karke nikalta hai,
kabz aour mand aagni bani rahti hai.
adhik pyas ka lagna aor adhik peshaab ka aana.
peshaab peela hone aadi ke karan rogi ko neend nahi aati hai.wah din prti din kamjor hota hai , kamar, jaanghon aour pindliyon me dard hota hai.

is rog ke hone ke kaaran kya hain--?


agar mutrashay me peshaab ikattha hone ke baad kisi rukawat ki wajah se baahar na nikle to use mutra aourodh kahte hain,   streeyon me kisi baahari cheej ke karan aour purushon me sujaak garmi aadi se mutrashay aour mutr marg par dabaw padta hai jis se  peshaab ruk jata hai .
budhe purushon ki pourush granthi badh jaati hai jiske karan unka mutr ruk jaata hai .
mutr krichchh me peshaab karte samay dard hota hai. jab mutraashay dard utpann hota hai to peshaab ruk jaata hai . isi prakar histiriya (stree rog ), chinta, sir me chot lag jaana , amaashay ka vikaar , sharaab peena,  aatshak, kabz, poustik bhojan ki kami aadi  ke kaarn ye rog hota hai.

ye bhi padhen- 

is rog kaa ghrelu ilaaz kya hai --?


*#  50 gram  pyaaz ke chhote -chhote tukre kaate , fir ek gilaas paani me wah pyaaz ubaal kar chhaan len ,ab usme thodi si cheeni dal kar sevan karen .

*# 6 masha jawakhaar me gud (meetha) mila kar sevan karen.

*#  agar peshaab me rakt aata ho to kulfa ke saag ke patton ka ras 4-4 chammach ki matraa me din me teen baar piyen.

*#  aadha chammach ajwaayin din me do baar gun-gune paani ke saath sevan karen.

*#  ek cup anaar ka sharbat subah naste ke baad sevan karen.

*#  ek cup chaawal ka mand (paani) le kar us me cheeni mila kar piyen.

*#  kalmi shora 2 chammach aour ilayichi ke dano ka churan 1 chammach donon ko mila kar subah shaam sevan karen.

*#  kaale till me gud milaa kar khaane se bahumutr rog theek ho jaata hai.

*#  ganne ke taze ras me nimbu aour sendha namak milaakar peene se mutr jalan door hoti hai aour mutr khulkar hota hai.

*#  thoda sa bathuwa paani me ubaalen fir usme kaala namak , bhuna jeera   ,  kaali mirch ,  aour zara si shakkar daal kar sean karen.

*#  pake huwe kele ko aanwle ke saath sevan karen. pahle kele khayen fir ras piyen.


ye bhi jane- ling se judi kuch intrasting baten ling mota lamba karne ka tarika


*# peepal ke viriksh ki  5  kopalon ko paani me ubaalen, jab paani aadha rah jaye to use chhan kar shakkar daal kar pee jayen.

*#  prati din subah ek cup gaazar ke ras me nimbu nichod kar piyen.

*#  agar peshaab me dard hota ho to doodh me sonth aour mishree milakar sevan karen.

*#  lag-bhag 4 chammach isabgol ki bhusi paani me bhigo den fir usme boora dal kar roz subah piyen. 


Share:

1 comment:

  1. Thank you for sharing this information. sex power kami ke karn log apne parner ko khush nhi kar pate hai

    ReplyDelete

Copyright © Help For Youth | Powered by Blogger
Design by SimpleWpThemes | Blogger Theme by NewBloggerThemes.com