Friday, February 19, 2016

sex me bister par lambe samay tak anand lene ke tips

HELP FOR YOUTH



sex jeevan ka aanand der tak uthane ke liye aap ko kuchh baton ke baare me jaan na jaroori hai .
in par thoda - dhyan aap ke jeevan me khush haali la dega.

    Har vivahit dampatti ke man me ek hi sawal hota hai ki wah kaise sex kriya ka aanand lambe samay tak uthaa payega.    lekin yah sawaal  sahi nahi hai ,, sex kriya ka aanand kitne der tak uthayenge ye aap par nirbhar karta hai .    asal me ye sawaal akser porn dekhne ke karan man me aata hai .    lekin sach to yah hai ki samanya roop se prem sambandh puri tarah se sthaapit karne me 30 minat ka samay lagta hai ,   lekin yah sab ke liye saman nahi bhi hota hai, thoda sa samay idhar udhar bhi hota hai . agar aap prem - sambandh sthaapit karte waqt 3 minat se jyada samay tak uttejit nahi rah paate hai to iska matlab hai ki aap ko koi sharirik ya sex sambandhi samasya hai . in samasyaon se rahat pane ke liye aap in baaton par dhayan de sakte hai ,jo aapko lambe samay tak sex kriya karne ma madad karega.

1- jyadah matra me fal aour sabjiyan khayen 
                adhyayan yah batata hai ki mansaa haari sevan karne wale purushon ki tulna me shaakaa haari sevan karne waale purush lambe samay tak sex kriya ka aanand uthaa paate hain . kiyon ki fal aour sabjiyon ka sevan karne se jo poustikta unhe milti hai wah sex kriya ko karne me taqat aour urja detne me madad karte hai.
prem sambandh sthapit karne se pahle kelaa khane se ap sex ka aanand jyada der tak utha payenge .  kiyon ki kelaa me jo potashiyam aour gulucose hota hai wah sex ka pura aanand uthane me  madad karta hai .
aanwla ras kaa niyamit rup se sevan karne se isme jo zink aour iron prachur matra me hota hai wah virya (sperm) ki taqat badhane ke sath-sath sex ka anand uthane me madad kartaa hai.  sambhog karne ke pahle stroberry khane se ap lambe samay tak sex kriya kar payenge.

2-  prosesd sugar na khayen -- prosesd sugar aapke sex karne ki taqat ko kam karta hai.

3-  dhumrpaan na karen-- jyada matra me dhumrpaan karne se na sirf aapke sehat ko hani pahuchta hai balki ye dhamniyon ko sakht karne ke sath-sath ling me khoon ki gati ko ghataata hai . dr. vijya sarthi ramanathan ,purushon ke sehat sambandhi phisison aour medical sex therpist ke anusaar dhumrpaan na sirf aapke orgon ko parbhavit karte hai , yah youn karyon men bhi baadha utpann karte hain. purushon ko yah samajhna chahiye ki erection ke liye dil aour raktwaahika ka swasth hona jaroori hota hai . dhumrpaan karne waalon ko erectail disfuncsion ki samasya ka samna jyaada karna padta hai .

4-  sharab ka sevan kam karen-- iske sevan se mansik santulan ka bigadna laajimi hai . iska aapke sex jeevan par kya parbhaw padega yah aapko kahne ki jaroorat nahi hai.

5-  sex karne ke liye pet aour haath ke mansh peshiyon ko majboot banayen--  achchhi tarah se sex kriya ka anand uthane ke liye haath aour pair ka sahara lena padta hai . is liye jim me jayen aour ghar par bhi exercise karen aour apne me taqat ka sanchar karen .exercise karne se ling me bhi rakt ka sanchar achchhi tarah se ho paata hai jo youn kriya ke liye achchha hota hai.

6-  squeeze technique ka istemal karen--  jab aap sex ke charam awasthaa me hon tab is takneek ke dwara sex ka aanand lambe samay tak utha payenge..

7-  forplay par dhyan den-- isse aap apne sahyogi ko bhi khush kar payenge aour charam awastha ka aanand lambe samay tak le payenge.

8-  bhrpoor neend--  shikago vishwa viddhyalay ke anusandhan kariyon ke anusandhan ke anusar jo purush sat se aath ghanta nahi sote hain unme testastaron ka matra ghat jaata hai . atah youn kriya ka pura aanand uthane ke liye paryapt matra me sona jaroori hai.

9-  yogasan karen-- bhujangasan aour paschimotasan karne se jannangon me rakt ka parwaah achhi tarah se ho paata hai jis se aap sex kriya ka achhi tarah se aanand le paten hain. 

padhen sex problams kya-kya hote hai

Share:

6 comments:

Copyright © Help For Youth | Powered by Blogger
Design by SimpleWpThemes | Blogger Theme by NewBloggerThemes.com