agar aap ki abhi- abhi shadi huyi hai, aour aap garbh dharan karna chahti hain ya kayi saalon tak
pareewaar niyojan apnaane ke baad ab aap garbh dharan karna chahtin hain ya laakh chahne ke baad
bhi aap garbhwati nahi ho paa rahin hai to neeche diye huye upaayon ko apna kar aap safalta-purwak
garbh-dharan kar sakti hain.
kayi maamlon me aisa hota hai ki koi maheela pregnent nahi hona chahti fir bhi wo pragnent ho jati
hai . theek iske viparit kayi maamlon me aisa hota ki koi maheela pragnent hokar maan ka sukh
bhogna chaahti hai lekin laakh chahne ke bawajood wo pragnent nahi ho paati.
maan ban-na jindagi ke behtareen anubhaw me se ek hai . par maan ban-ne ki yah raah itni mushkil
bhi nahi hai,. har umr me pregnancy ke douran kuchh khas pareshaniyon ka saamna karna padta hai.
is post me jaane garbh-wati hone ke kuchh behtareen upay jisse aap aasani se pragnent ho sakti hai.
yebhi jaane-
pragnent hone ke ke kuchh upay.
pragnent hone ke liye sirf sahwaas karna hi jaroori nahi hota balke sahi samay par sahwaas karna
jaroori hota hai.
jaroori hota hai.
maheela ka shareer aisa nahi hota jo kabhi bhi pregnent ho sake . uska ek nishchit samay hota hai ,
ek chhoti si awadhi hoti hai .
aap us awadhi ko pahchane aour us samay sambhog karen .
pregnent hone ke liye oviuletion ke pahle sex yani sambhog karna jaroori hota hai .
sex karte waqt tanaaw me na rahen. pregnent hone ke liye sex ke waqt sex ka pura aanand uthaana
chahiye taaki aap ki yoni se uchit matra me taral padarthon ka sraw hota rahe jo shukranu ko garbh-
dharan karne me madad kar sake garbhdharan karne ke liye sex ki sthiti bhi mahatwa purn bhumika
nibhaati hai .
ye bhi padhen- streeya bhi hoti hain night foll ka shikar
in cheejon ka sevan naaa karen.
smoking se bhi pregnent hone me mushkil hoti hai .
agar aap pregnent ho bhi jaati hain to sigarate aapke pet me pal rahe bachche ke swasthya par bahut
bura asar dalega aour is se aapkaa garbh-paat bhi ho sakta hai.
sharab aour kuchh hanikarak dawayi-yo ko lene se bache , isi tarah sharab aour maadak dawaon se
door rahna chahiye kyonki ye aapke ke garbh-dharan me baadhak ban sakti hai.
kaifeen yukt khadh padarth ya pey ka sevan bhi garbh-dharan me ban sakta hai. kaifeen se shareer ki
iron aour calcium grahan karne ki chhamta ghat jaati hai jis se aap ke pregnent hone ki sambhawna
27 % tak kam ho sakti hai . meethi cheejen bhi jyadah naa khaayen .
yebhi jane-
in cheejon ka sevan karen.
santulit aahar len , folic aside garbh dharan karne me bahut mahatwa purn nibhati hai isliye aise
khadh padarthon ka sevan karen jinme follic aside jyadah paye jate hon .
khadh padarthon ka sevan karen jinme follic aside jyadah paye jate hon .
daal me folic aside paaya jata hai sath hi daalon me protien ka bhi bahut achha srot hai .
hari pattedar saag - sabjiyon me bhi folic aside prachoor matra me hota hai jaise paalak ityadi.
isliye hari pattedaar sabjiyon ka sevan bharpoor matra me kiya karen .
jo aapko tandurust banate hain aour pregnent hone me help karten hain .
inke ilawa aap saaboot anaaj aour fiber yukt khana bhi khayen .
pregnent hone ke liye paryapt matra me calcium ka sevan bhi jaroori hota hai.

Thank you for sharing this information. hum aapko bata de ki sex power kami ke karn apnke partner santust nhi ho pata hai
ReplyDelete