Sunday, March 6, 2016

Sex Kaise Karen Jisme Pura Aanand Mile Kamottejak Upaay

Koi bhi stree ya purush jab dustre ling ke prati aakarshan mahsoos karne lagta hai. to usi samay se sex unke liye ek bahut hi khas vishay ban jata hai, . unke man me sex ke bare me jaan-ne ki utsukta badh jati hai aour shadi se pahle yah log sex karne se peechhe nahi rahte. sex karne me jitna aanand milta hai,utni hi uske bare me sanvedan shilta bani rahti hai. isi wajah se chaahe stree ho ya purush dono me hi sex ke prati hamesha ek bhookh si bani rahti hai wah jyada-se jyadah sex ka maja lena chaahta hain. aise bahut se log hain jo sex ka maja lena chahte hain lekin sex karte samay wo kuchh hi der me thande pad jate hain. aise maamlon me unke man me yah baat ghar kar jati hai ki unhe shighr -patan ka rog hai. aise log waise to puree tarah se swasth hote hain lekin dimaghi roop se bimaar ho jate hain. unke man me yah vichar bhi aane lagten hain ki agar main sambhog ke samay apne partner ko santusht nahi kar saka to wo mujh se nafrat karne lage sakta hai ya mujhe chhod kar jaa saktaa hai. yah ek aisi dimaghi samasya hai jis se har varg ka weyakti pareshan hai . sambhog kriya ke samay jab purush ka virya nikal jaata hai tabhi uski sambhog kriya aour santushti ka chakr pura ho gaya maan liya jaata hai kyonki charam aanand ke sath hi virya ka nikalne ka sambandh bhi juda hai lekin iske baad bhi purush ke andar ki  pyaas nahi bujhti. isi wajah se wah andar hi andar sharmindagi se     ghut-ta hai isme agar purush sahi tarah se aour sahi tareeke  se sambhog kare to wah is kriya ko ichchha ke anusaar badha sakta hai . iske liye use kisi tarah ki dawa aadi na khakaraour ulte-sidhe neem-hakeemon ke chakkar me na pad kar sirf kuchh baton ki or dhyan dene ki jaroorat hai.


kamottajak upay






*  sambhog karte samay jaldbaaji na karen.

sambhog karte samay kisi bhi tarah ki jald baaji karna ya had-badahat machana jaldi virya paat ka karan banta hai. kisi bhi pati patni ke sex sambandh sirf khana-purti  ke liye ya kisi bhi kaam ko jaldi se niptane ki maqsad se nahi hona chahiye. aise bahut se weyakti hote hain jo turant hi pure josh me aa jate hain . unki uttejna samay se pahle hi charam seema tak pahunch jati hai aour jald hi un ka virya paat ho jaata hai. kuchh samay me unki patniyan unke is aadat se pareshan ho jati hai kyon ki unhe apne pati se purn sex santushti nahi milti . is liye purushon ko sambhog karte samay kisi bhi  tarah ki jaldi na karke dhairya purwak karna chahiye.

*  uttejna par dheyan den.

purush agar apni sambhog keriya ko kafi der tak karna chahta hai to use apni uttejna ka khas tour par dhyan rakhna jaroori hai . sambhog kriya ke samay uttejna ka badhna aour kafi der tak rahna purush ki shareerik kriyaon par nirbhar karta hai . jaise hi mahsoos ho ki shareer me uttejna badh rahi hai , ling sakht hota ja raha hai to usi samay apni shareerik kriya ko rok deni chahiye , ek dam se shant ho jaye . is se badhi huyi uttejna samanya hone lagti hai . agar uttejna jyada badh jati hai aour shareerik aaghaat jaari rahta hai to virya ka rok paana sambhaw nahi ho paata . is liye uttejna ko jyada nahi badhne dena chahiye.

*  wata waran ka dhyan rakhen.

sambhog kriya karte samay wata waran ka bhi khastour par dheyan dena padta hai . sambhog kriya me puri tarah aanand aour santushti tab tak nahi mil pati jab tak is kriya ko bina kisi dar ke aour nishchit hokar  na kiya jaye. shadi ke baad sone ke liye pati patni ko alag kamre de diye jate hain , fir bhi kayi baar is sadhan me bhi achanak rukawat aa jati hai, to aise me unhen sex sambandh nahi banane chahiye . kayi baar pati-patni apne kamre me aa kar sex karne lagte hain tabhi koi awaj de deta hai us samay unki sex sambandhon ke douran bani mansikta ko tej aaghat padta hai aour yah jaldi virya paat ka karan banta hai. agar pati aour patni apne kamre me aate hain to unhen turant hi sex kriya me nahi lagna chahiye . kamre me aate hi sab se pahle kisi bhi topic ko lekar aapas me baat karna chahiye fir jaise hi lage ki ab ghar me sab so gaye hain tab sex karne ke liye taiyar ho jayen .  kamre me hare rang ya aasmani rang ke balb jala kar sex karn se aanand milta hai
sex ke samay vibhinnya aasno ka istemal hani karak hai.
sex karte samay kayi purush apni biwiyon ko sex ke alag-alag aasano ko pryog karne ki paryog shaala bana dete hain .
purush aksar kitabon ya filmon me sex karne ke alag-alag tarikon ko dekh kar apni patni ke sath bhi us tarah sex karne ke liye jor dalte hai. lekin sex karne ke yah aasan ya tareeke jo dikhaye jaate hain unko karna lag-bhag  namumkin hota hai. in alag-alag aasno ko karte samay ya sambandh banate samay purush itna uttejit ho jaata hai ki unke liye sambandh banaye rakhna mushkil ho jaata hai jiski wajah se virya jaldi skhalit ho jata hai.
Share:

2 comments:

Copyright © Help For Youth | Powered by Blogger
Design by SimpleWpThemes | Blogger Theme by NewBloggerThemes.com